Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5db0a56a47fe1cabb5fc749ffd33df6c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
So Ke Jab Wo Nigar UThta Hai - Abdul Hamid Adam Poetry In English - Darsaal

So Ke Jab Wo Nigar UThta Hai

so ke jab wo nigar uThta hai

misl-e-abr-e-bahaar uThta hai

teri aankhon ke aasare ke baghair

kab gham-e-rozgar uThta hai

do ghaDi aur dil lubhata ja

kyun KHafa ho ke yar uThta hai

aise jati hai zindagi ki umid

jaise pahlu se yar uThta hai

zindagi shirkaton se chalti hai

kis se tanha ye bar uThta hai

jo bhi uThta hai us ki mahfil se

KHasta o dil-figar uThta hai

aaj ki raat KHair se guzre

dard-e-dil bar bar uThta hai

aao kuchh zindagi ke naz sahen

kis se tanha ye bar uThta hai

hosh mein ho to mai-kade se 'adam'

kab koi baada-KHwar uThta hai

(1536) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

So Ke Jab Wo Nigar UThta Hai In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. So Ke Jab Wo Nigar UThta Hai is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem So Ke Jab Wo Nigar UThta Hai for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download So Ke Jab Wo Nigar UThta Hai in PDF.