Saqi Sharab La Ki Tabiat Udas Hai
saqi sharab la ki tabiat udas hai
mutrib rubab uTha ki tabiat udas hai
ruk ruk ke saz chheD ki dil mutmain nahin
tham tham ke mai pila ki tabiat udas hai
chubhti hai qalb o jaan mein sitaron ki raushni
ai chand Dub ja ki tabiat udas hai
mujh se nazar na pher ki barham hai zindagi
mujh se nazar mila ki tabiat udas hai
shayad tere labon ki chaTak se ho ji bahaal
ai dost muskura ki tabiat udas hai
hai husn ka fusun bhi ilaj-e-fasurdagi
ruKH se naqab uTha ki tabiat udas hai
main ne kabhi ye zid to nahin ki par aaj shab
ai mah-jabin na ja ki tabiat udas hai
imshab gurez-o-ram ka nahin hai koi mahal
aaghosh mein dar aa ki tabiat udas hai
kaifiyyat-e-sukut se baDhta hai aur gham
qissa koi suna ki tabiat udas hai
yunhi durust hogi tabiat teri 'adam'
kam-baKHt bhul ja ki tabiat udas hai
tauba to kar chuka hun magar phir bhi ai 'adam'
thoDa sa zahr la ki tabiat udas hai
(4108) Peoples Rate This