Munqalib Surat-e-haalat Bhi Ho Jati Hai
munqalib surat-e-haalat bhi ho jati hai
din bhale hon to karamat bhi ho jati hai
husn ko aata hai jab apni zarurat ka KHayal
ishq par lutf ki barsat bhi ho jati hai
dair o kaba hi is ka na talluq samjho
zindagi hai ye KHarabaat bhi ho jati hai
jabr se taat-e-yazdan bhi hai bar-e-KHatir
pyar se aadat-e-KHidmat bhi ho jati hai
dawar-e-hashr mujhe apna musahib na samajh
baz auqat khari baat bhi ho jati hai
hashr mein le ke chalo mutrib o mashuq o subu
ghair ke ghar mein kabhi raat bhi ho jati hai
baz auqat kisi aur ke milne se 'adam'
apni hasti se mulaqat bhi ho jati hai
(1562) Peoples Rate This