Mujhse Chunan-chunin Na Karo Main Nashe Main Hun

mujh se chunan-chunin na karo main nashe main hun

main jo kahun nahin na karo main nashe mein hun

insan nashe mein ho to wo chhupta nahin kabhi

har-chand tum yaqin na karo main nashe mein hun

ye waqt hai faraKH-dili ke suluk ka

tang apni aastin na karo main nashe mein hun

be-iKHtiyar chum na lun main kahin inhen

aankhon ko KHashmagin na karo main nashe mein hun

har-chand mere haq mein hai ye rahmat-e-KHuda

aanchal mere qarin na karo main nashe mein hun

nashshe mein surKH rang tahi-az-KHatar nahi?

honTon ko ahmarin na karo main nashe mein hun

dekho main kah raha hun tumhein pai-ba-pai 'adam'

mujh ko bahut hazin na karo main nashe mein hun

(1216) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Mujhse Chunan-chunin Na Karo Main Nashe Main Hun In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Mujhse Chunan-chunin Na Karo Main Nashe Main Hun is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Mujhse Chunan-chunin Na Karo Main Nashe Main Hun for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Mujhse Chunan-chunin Na Karo Main Nashe Main Hun in PDF.