Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_783e1c758f2c7abdb39022daf42f6afe, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mera IKHlas Bhi Ek Wajh-e-dil-azari Hai - Abdul Hamid Adam Poetry In English - Darsaal

Mera IKHlas Bhi Ek Wajh-e-dil-azari Hai

mera iKHlas bhi ek wajh-e-dil-azari hai

banda-parwar mujhe ehsas-e-gunahgari hai

aap aziyyat ka banate hain jo KHugar mujh ko

is se behtar bhala kya surat-e-gham-KHwari hai

mahz taskin-barari ke bahane hain sab

main to kahta hun mohabbat bhi riya-kari hai

mashq karta hai nasihat ki jin ayyam mein tu

waiz-e-shahr wahi mausam-e-mai-KHwari hai

kaise aaega na sar-dard ko aaram 'adam'

mere ahbab ko taqrir ki bimari hai

(2679) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mera IKHlas Bhi Ek Wajh-e-dil-azari Hai In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Mera IKHlas Bhi Ek Wajh-e-dil-azari Hai is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Mera IKHlas Bhi Ek Wajh-e-dil-azari Hai for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Mera IKHlas Bhi Ek Wajh-e-dil-azari Hai in PDF.