Mai-KHana-e-hasti Mein Aksar Hum Apna Thikana Bhul Gae
mai-KHana-e-hasti mein aksar hum apna Thikana bhul gae
ya hosh mein jaana bhul gae ya hosh mein aana bhul gae
asbab to ban hi jate hain taqdir ki zid ko kya kahiye
ek jam to pahuncha tha hum tak hum jam uThana bhul gae
aae the bikhere zulfon ko ek roz hamare marqad par
do ashk to Tapke aankhon se do phul chaDhana bhul gae
chaha tha ki un ki aankhon se kuchh rang-e-bahaaran le lije
taqrib to achchhi thi lekin do aankh milana bhul gae
malum nahin aaine mein chupke se hansa tha kaun 'adam'
hum jam uThana bhul gae wo saz bajaana bhul gae
(1759) Peoples Rate This