Kya Baat Hai Ai Jaan-e-suKHan Baat Kiye Ja
kya baat hai ai jaan-e-suKHan baat kiye ja
mahaul pe naghmat ki barsat kiye ja
duniya ki nigahon mein baDi hirs bhari hai
na-ahl zamane se hijabaat kiye ja
neki ka irada hai to phir puchhna kaisa
din raat faqiron ki mudaraat kiye ja
chalte rahen madhosh piyalon ki rawish par
nadan sitaron ko hidayat kiye ja
allah tera husn kare aur ziyaada
hum rah-nashinon se mulaqat kiye ja
ban aae jawabaat to mil jaenge KHud hi
ai dawar-e-mahshar tu sawalat kiye ja
hasti o adam kya hain ba-juz jumbish-e-abru
ai jaan-e-kinayat ishaaraat kiye ja
kahta hai 'adam' mujh ko har ek gosha-e-hasti
aaya hai to kuchh sair-e-KHarabaat kiye ja
(1453) Peoples Rate This