Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fae0a7b0879730d885b4343e35acc31c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Khuli Wo Zulf To Pahli Hasin Raat Hui - Abdul Hamid Adam Poetry In English - Darsaal

Khuli Wo Zulf To Pahli Hasin Raat Hui

khuli wo zulf to pahli hasin raat hui

uThi wo aankh to taKHliq-e-kaenat hui

KHuda ne gaDh to diya aalam-e-wajud magar

sajawaTon ki bina auraton ki zat hui

gile bahut the magar jab nazar nazar se mili!

na mujh se baat hui aur na un se baat hui

dil-e-tabah ko kuchh aur kar gai zaKHmi!

wo ek nigah jo labrez-e-iltifat hui

hayat o maut ki ghaarat-gari ka haal na puchh

jo maut na ban saki wo 'adam' hayat hui

(1782) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khuli Wo Zulf To Pahli Hasin Raat Hui In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Khuli Wo Zulf To Pahli Hasin Raat Hui is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Khuli Wo Zulf To Pahli Hasin Raat Hui for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Khuli Wo Zulf To Pahli Hasin Raat Hui in PDF.