KHairaat Sirf Itni Mili Hai Hayat Se
KHairaat sirf itni mili hai hayat se
pani ki bund jaise ata ho furaat se
shabnam isi junun mein azal se hai sina-kub
KHurshid kis maqam pe milta hai raat se
nagah ishq waqt se aage nikal gaya
andaza kar rahi hai KHirad waqiat se
su-e-adab na Thahre to den koi mashwara
hum mutmain nahin hain teri kaenat se
sakit rahen to hum hi Thaharte hain ba-qusur
bolen to baat baDhti hai chhoTi si baat se
aasan-pasandiyon se ijazat talab karo
rasta bhara hua hai 'adam' mushkilat se
(1435) Peoples Rate This