Kashti Chala Raha Hai Magar Kis Ada Ke Sath
kashti chala raha hai magar kis ada ke sath
hum bhi na Dub jaen kahin na-KHuda ke sath
dil ki talab paDi hai to aaya hai yaad ab
wo to chala gaya tha kisi dilruba ke sath
jab se chali hai aadam o yazdan ki dastan
har ba-wafa ka rabt hai ek bewafa ke sath
mehman mezban hi ko bahka ke le uDa
KHushbu-e-gul bhi ghum rahi hai saba ke sath
pir-e-mughan se hum ko koi bair to nahin
thoDa sa iKHtilaf hai mard-e-KHuda ke sath
shaiKH aur bahisht kitne tajjub ki baat hai
ya-rab ye zulm KHuld ki aab-o-hawa ke sath
paDhta namaz main bhi hun par ittifaq se
uThta hun nisf raat ko dil ki sada ke sath
mahshar ka KHair kuchh bhi natija ho ai 'adam'
kuchh guftugu to khul ke karenge KHuda ke sath
(2629) Peoples Rate This