Jumbish-e-kakul-e-mahbub Se Din Dhalta Hai
jumbish-e-kakul-e-mahbub se din Dhalta hai
hae kis KHubi-e-uslub se din Dhalta hai
phenk kulfat-zada suraj pe bhi chhinTe us ke
jis mai-e-dilkash-o-marghub se din Dhalta hai
koshish-e-banda-e-dana nahin kaamil hoti
sohbat-e-banda-e-majzub se din Dhalta hai
mehr ke walwala-e-rast se pau phaTti hai
mehr ke jazba-e-maqlub se din Dhalta hai
saqiya ek 'adam' ko bhi phureri us ki
jis khanakte hue mashrub se din Dhalta hai
(1356) Peoples Rate This