Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_389d217849a387c697a994f33ef7e498, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jo Bhi Tere Faqir Hote Hain - Abdul Hamid Adam Poetry In English - Darsaal

Jo Bhi Tere Faqir Hote Hain

jo bhi tere faqir hote hain

aadmi be-nazir hote hain

teri mahfil mein baiThne wale

kitne raushan-zamir hote hain

phul daman mein chand le lije

raste mein faqir hote hain

jo parinde ki aankh rakhte hain

sab se pahle asir hote hain

dekhne wala ek nahin milta

aankh wale kasir hote hain

jin ko daulat haqir lagti hai

uf wo kitne amir hote hain

jin ko qudrat ne husn baKHsha ho

qudratan kuchh sharir hote hain

hai KHushi bhi ajib shai lekin

gham baDe dil-pazir hote hain

ai 'adam' ehtiyat logon se

log munkir-nakir hote hain

(2386) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Bhi Tere Faqir Hote Hain In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Jo Bhi Tere Faqir Hote Hain is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Jo Bhi Tere Faqir Hote Hain for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Jo Bhi Tere Faqir Hote Hain in PDF.