Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_69a5f868e93dfb38d2336254aaf35129, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jis Waqt Bhi Mauzun Si Koi Baat Hui Hai - Abdul Hamid Adam Poetry In English - Darsaal

Jis Waqt Bhi Mauzun Si Koi Baat Hui Hai

jis waqt bhi mauzun si koi baat hui hai

mahaul se naghmat ki barsat hui hai

mai-KHane mein hai shab ke guzarne ka ye aalam

mahsus ye hota hai abhi raat hui hai

hai arsa-e-mahshar bhi koi kunj-e-gulistan!

dekho to kahan un se mulaqat hui hai

ye dekh ki kis haal mein hum zinda hain ab tak

mat puchh ki kaise basar-auqat hui hai

imkan nikal aae hain 'adam' sulh ke kuchh kuchh

kal shab gham-e-hasti se meri baat hui hai

(1547) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Waqt Bhi Mauzun Si Koi Baat Hui Hai In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Jis Waqt Bhi Mauzun Si Koi Baat Hui Hai is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Jis Waqt Bhi Mauzun Si Koi Baat Hui Hai for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Jis Waqt Bhi Mauzun Si Koi Baat Hui Hai in PDF.