Jahan Wo Zulf-e-barham Kargar Mahsus Hoti Hai
jahan wo zulf-e-barham kargar mahsus hoti hai
wahan Dhalti hui har dopahar mahsus hoti hai
wahi shai maqsad-e-qalb-o-nazar mahsus hoti hai
kami jis ki barabar umr bhar mahsus hoti hai
jatan bhi kya hasin sujha hai tujh ko pyar karne ka
teri surat mujhe apni nazar mahsus hoti hai
gali kuchon mein sehn-e-mai-kada ka rang hota hai
mujhe duniya tera kaif-e-nazar mahsus hoti hai
zara aage chaloge to izafa ilm mein hoga
mohabbat pahle pahle be-zarar mahsus hoti hai
ye do patthar na jaane kab se aapas mein hain wabasta
jabin apni tumhaara sang-e-dar mahsus hoti hai
kabhi sach to nahin us aankh ne bola magar phir bhi
rawayye mein nihayat mo'atabar mahsus hoti hai
adam ab doston ki be-ruKHi ki hai ye kaifiyyat
khaTakti to nahin itni magar mahsus hoti hai
(1616) Peoples Rate This