Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_931a779946781436fc211cabb3c6381a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Humse Chunan-chunin Na Karo Hum Nashe Mein Hain - Abdul Hamid Adam Poetry In English - Darsaal

Humse Chunan-chunin Na Karo Hum Nashe Mein Hain

hum se chunan-chunin na karo hum nashe mein hain

hum jo kahen nahin na karo hum nashe mein hain

nashsha koi Dhaki-chhupi tahrik to nahin

har-chand tum yaqin na karo hum nashe mein hain

aisa na ho ki aap ki banhon mein aa giren

aankhon ko KHashmagin na karo hum nashe mein hain

baaten karo nigar o bahaar o sharab ki

azkar-e-shar-o-din na karo hum nashe mein hain

ye waqt hai 'adam' ki tawazoa ka sahibo

tang apni aastin na karo hum nashe mein hain

(1349) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Humse Chunan-chunin Na Karo Hum Nashe Mein Hain In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Humse Chunan-chunin Na Karo Hum Nashe Mein Hain is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Humse Chunan-chunin Na Karo Hum Nashe Mein Hain for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Humse Chunan-chunin Na Karo Hum Nashe Mein Hain in PDF.