Girte Hain Log Garmi-e-bazar Dekh Kar
girte hain log garmi-e-bazar dekh kar
sarkar dekh kar meri sarkar dekh kar
aawargi ka shauq bhaDakta hai aur bhi
teri gali ka saya-e-diwar dekh kar
taskin-e-dil ki ek hi tadbir hai faqat
sar phoD lijiye koi diwar dekh kar
hum bhi gae hain hosh se saqi kabhi kabhi
lekin teri nigah ke atwar dekh kar
kya mustaqil ilaj kiya dil ke dard ka
wo muskura diye mujhe bimar dekh kar
dekha kisi ki samt to kya ho gaya 'adam'
chalte hain rah-rau sar-e-bazar dekh kar
(1994) Peoples Rate This