Duaen De Ke Jo Dushnam Lete Rahte Hain
duaen de ke jo dushnam lete rahte hain
wo jam dete hain aur jam lete rahte hain
KHafa na ho ki hamara qusur koi nahin
bila-irada tera nam lete rahte hain
hujum-e-gham mein tera nam bhul bhi jae
to phir bhi jaise tera nam lete rahte hain
ye nam aisa hai bilkul hi gar na len us ko
to phir bhi hum sahar-o-sham lete rahte hain
teri nigah ka kya qarz hum utarenge
teri nazar se baDe kaam lete rahte hain
main wo musafir-e-raushan-KHayal hun yaro
jo raste mein bhi aaram lete rahte hain
gham-e-hayat ki talim-o-tarbiyat ke liye
teri nigah ke ahkaam lete rahte hain
paDi hai yun hamein bad-namiyon ki chaT 'adam'
ki muskura ke har ilzam lete rahte hain
(1448) Peoples Rate This