Dil Dub Na Jaen Pyason Ke Taklif Zara Farma Dena
dil Dub na jaen pyason ke taklif zara farma dena
ai dost kisi mai-KHane se kuchh zist ka pani la dena
tufan-e-hawadis se pyare kyun itna pareshan hota hai
aasar agar achchhe na hue ek saghar-e-mai chhalka dena
zulmat ke jhurmuT waise to bijli ki chamak se Darte hain
par baat agar kuchh baDh jae taron se subu Takra dena
hum hashr mein aate to un ki tashhir ka bais ho jate
tashhir se bachne walon ko ye baat zara samjha dena
main pairahan-e-hasti mein bahut uryan sa dikhai deta hun
ai maut meri uryani ko malbus-e-'adam' pahna dena
(1410) Peoples Rate This