Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_64223512f8acd3072f0ed8675ed2de91, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dekh Kar Dil-kashi Zamane Ki - Abdul Hamid Adam Poetry In English - Darsaal

Dekh Kar Dil-kashi Zamane Ki

dekh kar dil-kashi zamane ki

aarzu hai fareb khane ki

ai gham-e-zindagi na ho naraaz

mujh ko aadat hai muskurane ki

zulmaton se na Dar ki raste mein

raushni hai sharab-KHane ki

aa tere gesuon ko pyar karun

raat hai mishalen jalane ki

kis ne saghar 'adam' buland kiya

tham gain gardishen zamane ki

(2084) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekh Kar Dil-kashi Zamane Ki In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Dekh Kar Dil-kashi Zamane Ki is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Dekh Kar Dil-kashi Zamane Ki for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Dekh Kar Dil-kashi Zamane Ki in PDF.