Bhule Se Kabhi Le Jo Koi Nam Hamara
bhule se kabhi le jo koi nam hamara
mar jae KHushi se dil-e-nakaam hamara
le jati hai us samt hamein gardish-e-dauran
ai dost KHarabaat se kya kaam hamara
kar lete hain taKHliq koi wajh-e-aziyyat
bhata nahin KHud hum ko bhi aaram hamara
ai gardish-e-dauran ye koi soch ki rut hai
kam-baKHt abhi daur mein hai jam hamara
is bar to aaya tha idhar qasid-e-jaan KHud
sarkar ko pahuncha nahin paigham hamara
pahunchai hai taklif bahut pahle hi tujh ko
ai rah-numa hath na ab tham hamara
ai qafila-e-hosh ganwa waqt na apna
paDta nahin kuchh Thik abhi gam hamara
dekha hai haram tera magar hae-re zahid
mahka hua wo kucha-e-asnam hamara
ghilman bhi jannat ke baDi chiz hain lekin
tauba meri wo saqi-e-gulfam hamara
gul nauha-kunan o sanam-e-dast-ba-sina
allah ghani! lamha-e-anjam hamara
kar baiThe hain hum bhul ke tauba jo sahar ko
shishe ko taaqub hai sar-e-sham hamara
mai pina 'adam' aur qadam chumna un ke
hai shaghl yahi ab sahar-o-sham hamara
(1599) Peoples Rate This