Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_64afda7b1c8a387ea6a09d09fb371333, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Bahut Se Logon Ko Gham Ne Jila Ke Mar Diya - Abdul Hamid Adam Poetry In English - Darsaal

Bahut Se Logon Ko Gham Ne Jila Ke Mar Diya

bahut se logon ko gham ne jila ke mar diya

jo bach rahe the unhen mai pila ke mar diya

ye kya ada hai ki jab un ki barhami se hum

na mar sake to hamein muskura ke mar diya

na jate aap to aaghosh kyun tahi hoti

gae to aap ne pahlu se ja ke mar diya

mujhe gila to nahin aap ke taghaful se

magar huzur ne himmat baDha ke mar diya

na aap aas bandhate na ye sitam hota

hamein to aap ne amrit pila ke mar diya

kisi ne husn-e-taghaful se jaan talab kar li

kisi ne lutf ke dariya baha ke mar diya

jise bhi main ne ziyaada tapak se dekha

usi hasin ne patthar uTha ke mar diya

wo log mangenge ab zist kis ke aanchal se?

jinhen huzur ne daman chhuDa ke mar diya

chale to KHanda-mizaji se ja rahe the hum

kisi hasin ne raste mein aa ke mar diya

rah-e-hayat mein kuchh aise pech-o-KHam to na the

kisi hasin ne raste mein aa ke mar diya

karam ki surat-e-awwal to jaan-gudaz na thi

karam ka dusra pahlu dikha ke mar diya

ajib ras-bhara rahzan tha jis ne logon ko

tarah tarah ki adaen dikha ke mar diya

ajib KHulq se ek ajnabi musafir ne

hamein KHilaf-e-tawaqqoa bula ke mar diya

'adam' baDe adab-adab se hasinon ne

hamein sitam ka nishana bana ke mar diya

tayyunat ki had tak to ji raha tha 'adam'

tayyunat ke parde uTha ke mar diya

(1910) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Se Logon Ko Gham Ne Jila Ke Mar Diya In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Bahut Se Logon Ko Gham Ne Jila Ke Mar Diya is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Bahut Se Logon Ko Gham Ne Jila Ke Mar Diya for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Bahut Se Logon Ko Gham Ne Jila Ke Mar Diya in PDF.