Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_m1mc7j36c671q1u2o8p4n58bc2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Afsana Chahte The Wo Afsana Ban Gaya - Abdul Hamid Adam Poetry In English - Darsaal

Afsana Chahte The Wo Afsana Ban Gaya

afsana chahte the wo afsana ban gaya

main husn-e-ittifaq se diwana ban gaya

wo ek nigah dekh ke KHud bhi hain sharmsar

na-agahi mein yunhi ek afsana ban gaya

mauj-e-hawa se zulf jo lahra gai teri

mera shuur laghzish-e-mastana ban gaya

husn ek iKHtiyar-e-mukammal hai aap ne

diwana kar diya jise diwana ban gaya

zikr us ka guftugu mein jo shamil hua 'adam'

jo sher kah diya wo pari-KHana ban gaya

(1443) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Afsana Chahte The Wo Afsana Ban Gaya In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Afsana Chahte The Wo Afsana Ban Gaya is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Afsana Chahte The Wo Afsana Ban Gaya for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Afsana Chahte The Wo Afsana Ban Gaya in PDF.