Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ebf99a772be5dd71074f5d30097878c5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab Do-alam Se Sada-e-saz Aati Hai Mujhe - Abdul Hamid Adam Poetry In English - Darsaal

Ab Do-alam Se Sada-e-saz Aati Hai Mujhe

ab do-alam se sada-e-saz aati hai mujhe

dil ki aahaT se teri aawaz aati hai mujhe

jhaD kar gard-e-gham-e-hasti ko uD jaunga main

be-KHabar aisi bhi ek parwaz aati hai mujhe

ya samaat ka bharam hai ya kisi naghme ki gunj

ek pahchani hui aawaz aati hai mujhe

kis ne khola hai hawa mein gesuon ko naz se

narm-rau barsat ki aawaz aati hai mujhe

us ki nazuk ungliyon ko dekh kar aksar 'adam'

ek halki si sada-e-saz aati hai mujhe

(2237) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Do-alam Se Sada-e-saz Aati Hai Mujhe In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Ab Do-alam Se Sada-e-saz Aati Hai Mujhe is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Ab Do-alam Se Sada-e-saz Aati Hai Mujhe for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Ab Do-alam Se Sada-e-saz Aati Hai Mujhe in PDF.