Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_th1de08updvjqv36fibrp8jrv4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aata Hai Kaun Dard Ke Maron Ke Shahr Mein - Abdul Hamid Adam Poetry In English - Darsaal

Aata Hai Kaun Dard Ke Maron Ke Shahr Mein

aata hai kaun dard ke maron ke shahr mein

rahte hain log chand sitaron ke shahr mein

milta to hai KHushi ki haqiqat ka kuchh suragh

lekin nazar-fareb ishaaron ke shahr mein

un ankhDiyon ko dekh ke hota hai ye guman

hum aa base hain baada-gusaron ke shahr mein

ai dil tere KHulus ke sadqe! zara sa hosh

dushman bhi be-shumar hain yaron ke shahr mein

dekhen 'adam' nasib mein hai kya likha hua

dil bechne chale hain nigaron ke shahr mein

(1628) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aata Hai Kaun Dard Ke Maron Ke Shahr Mein In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Aata Hai Kaun Dard Ke Maron Ke Shahr Mein is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Aata Hai Kaun Dard Ke Maron Ke Shahr Mein for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Aata Hai Kaun Dard Ke Maron Ke Shahr Mein in PDF.