Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c2b36a896b70be3830876efd0ad4c095, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aap Ki Aankh Agar Aaj Gulabi Hogi - Abdul Hamid Adam Poetry In English - Darsaal

Aap Ki Aankh Agar Aaj Gulabi Hogi

aap ki aankh agar aaj gulabi hogi

meri sarkar baDi saKHt KHarabi hogi

mohtasib ne hi paDha hoga maqala pahle

meri taqrir ba-har-haal jawabi hogi

aankh uThane se bhi pahle hi wo honge ghaeb

kya KHabar thi ki unhen itni shitabi hogi

har mohabbat ko samajhta hai wo nowel ka waraq

us pari-zad ki talim kitabi hogi

shaiKH-ji hum to jahannam ke parinde Thahre

aap ke pas to firdaus ki chabi hogi

kar diya musa ko jis chiz ne behosh 'adam'

be-naqabi nahin wo nim-hijabi hogi

(1913) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aap Ki Aankh Agar Aaj Gulabi Hogi In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Aap Ki Aankh Agar Aaj Gulabi Hogi is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Aap Ki Aankh Agar Aaj Gulabi Hogi for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Aap Ki Aankh Agar Aaj Gulabi Hogi in PDF.