Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d21106c9955f4d807a42af27ae2cd4d5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aankhon Se Teri Zulf Ka Saya Nahin Jata - Abdul Hamid Adam Poetry In English - Darsaal

Aankhon Se Teri Zulf Ka Saya Nahin Jata

aankhon se teri zulf ka saya nahin jata

aaram jo dekha hai bhulaya nahin jata

allah-re nadan jawani ki umangen!

jaise koi bazar sajaya nahin jata

aankhon se pilate raho saghar mein na Dalo

ab hum se koi jam uThaya nahin jata

bole koi hans kar to chhiDak dete hain jaan bhi

lekin koi ruThe to manaya nahin jata

jis tar ko chheDen wahi fariyaad-ba-lab hai

ab hum se 'adam' saz bajaya nahin jata

(1676) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Se Teri Zulf Ka Saya Nahin Jata In English By Famous Poet Abdul Hamid Adam. Aankhon Se Teri Zulf Ka Saya Nahin Jata is written by Abdul Hamid Adam. Read famous Poem Aankhon Se Teri Zulf Ka Saya Nahin Jata for youth and Student by Abdul Hamid Adam. Free Download Aankhon Se Teri Zulf Ka Saya Nahin Jata in PDF.