Aaj Phir Ruh Mein Ek Barq Si Lahraati Hai
aaj phir ruh mein ek barq si lahraati hai
dil ki gahrai se rone ki sada aati hai
yun chaTakti hain KHarabaat mein jaise kaliyan
tishnagi saghar-e-labrez se Takraati hai
shola-e-gham ki lapak aur mera nazuk sa mizaj
mujh ko fitrat ke rawayye pe hansi aati hai
maut ek amr-e-musallam hai to phir ai saqi
ruh kyun zist ke aalam se ghabraati hai
so bhi ja ai dil-e-majruh bahut raat gai
ab to rah rah ke sitaron ko bhi nind aati hai
aur to dil ko nahin hai koi taklif 'adam'
han zara nabz kisi waqt Thahar jati hai
(1380) Peoples Rate This