Aagahi Mein Ek KHala Maujud Hai
aagahi mein ek KHala maujud hai
is ka matlab hai KHuda maujud hai
hai yaqinan kuchh magar wazeh nahin
aap ki aankhon mein kya maujud hai
bankpan mein aur koi shai nahin
sadgi ki intiha maujud hai
hai mukammal baadshahi ki dalil
ghar mein gar ek boriya maujud hai
shauqiya koi nahin hota ghalat
is mein kuchh teri raza maujud hai
is liye tanha hun main garm-e-safar
qafile mein rahnuma maujud hai
har mohabbat ki bina hai chashni
har lagan mein muddaa maujud hai
har jagah har shahr har iqlim mein
dhum hai us ki jo na-maujud hai
jis se chhupna chahta hun main 'adam'
wo sitamgar ja-ba-ja maujud hai
(1495) Peoples Rate This