Lahu Ki Bund Misl-e-aina Har Dar Pe Rakkhi Thi

lahu ki bund misl-e-aina har dar pe rakkhi thi

sanad ahl-e-wafa ki lasha-e-be-sar pe rakkhi thi

nigahen waqt ki kaise nazar-andaz kar detin

asas-e-gulsitan katre hue shahpar pe rakkhi thi

ana majruh ho jati qadam pichhe agar haTte

bina-e-qurb dohri dhaar ke KHanjar pe rakkhi thi

idhar hum sar hatheli par liye maqtal mein pahunche the

udhar qatil ne ghabra kar hatheli sar pe rakkhi thi

KHudi ki raushni mein main ne dekha hai aqidat ko

KHudai warna aazar ki meri Thokar pe rakkhi thi

KHulus-o-mehr ke pani ne ThanDa kar diya aaKHir

jo tum ne aag nafrat ki dil-e-muztar pe rakkhi thi

liya jata na kaise imtihan-e-zarf ai 'saqi'

nazar har ek baada-KHwar ne saghar pe rakkhi thi

(846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lahu Ki Bund Misl-e-aina Har Dar Pe Rakkhi Thi In English By Famous Poet Abdul Hameed Saqi. Lahu Ki Bund Misl-e-aina Har Dar Pe Rakkhi Thi is written by Abdul Hameed Saqi. Read famous Poem Lahu Ki Bund Misl-e-aina Har Dar Pe Rakkhi Thi for youth and Student by Abdul Hameed Saqi. Free Download Lahu Ki Bund Misl-e-aina Har Dar Pe Rakkhi Thi in PDF.