Is Tilsim-e-roz-o-shab Se To Kabhi Niklo Zara

is tilsim-e-roz-o-shab se to kabhi niklo zara

kam se kam wijdan ke sahra hi mein ghumo zara

nam kitne hi likhe hain dil ki ek mehrab par

hoga in mein hi tumhaara nam bhi DhunDo zara

bad-gumani ki yahi ghairon ko kafi hai saza

muskura kar phir usi din ki tarah dekho zara

waqt ke patthar ke niche ek daba chashma hun main

aao pyaso mil ke ye patthar uThao to zara

husn ek dariya hai sahra bhi hain us ki rah mein

kal kahan hoga ye dariya ye bhi to socho zara

do kalon ke bich mein ek aaj hun uljha hua

meri is kam-fursati ke karb ko samjho zara

wusat-e-kaun-o-makan bhi ab hui jati hai tang

aur bhi kuchh ai junun walo abhi simTo zara

thak gae hoge bahut pur-pech thi chahat ki rah

aao meri god mein sar rakh ke susta lo zara

ek miTte lafz ke bhi kaam aa jao kabhi

sang-e-dil par miTne se pahle mujhe likh lo zara

hai taaqub mein 'naimi' saya sa ek roz o shab

dost hi shayad ho koi muD ke to dekho zara

(1485) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Tilsim-e-roz-o-shab Se To Kabhi Niklo Zara In English By Famous Poet Abdul Hafiz Naeemi. Is Tilsim-e-roz-o-shab Se To Kabhi Niklo Zara is written by Abdul Hafiz Naeemi. Read famous Poem Is Tilsim-e-roz-o-shab Se To Kabhi Niklo Zara for youth and Student by Abdul Hafiz Naeemi. Free Download Is Tilsim-e-roz-o-shab Se To Kabhi Niklo Zara in PDF.