Ghubar-e-dard Se Sara Badan ATa Nikla
ghubar-e-dard se sara badan aTa nikla
jise bhi KHanda-ba-lab dekha gham-zada nikla
ab ehtiyat bhi aur kya ho be-libas to hun
ek aastin se mana ki azhdaha nikla
mere KHulus pe shak ki to koi wajh nahin
mere libas mein KHanjar agar chhupa nikla
laga jo piTh mein neza to samjhe dushman hai
magar palaT ke jo dekha to aashna nikla
mere lahu se hai rangin jabin-e-subh to kya
chalo ki zulmat-e-shab ka to hausla nikla
ye hath rakh mein KHwabon ki Dalte to ho
magar jo rakh mein shola koi daba nikla
suna tha hadd-e-tabassum hai aansuon se qarib
baDhe jo aage to barson ka fasla nikla
wo ek harf-e-tamanna jo kahte Darte the
zaban pe aaya to un ka hi muddaa nikla
kulah kaj kiye din bhar jo shaKHs phirta tha
gali mein sham ko dekha to wo gada nikla
tulu subh 'naimi' jahan se honi thi
usi ufuq se andheron ka silsila nikla
(1426) Peoples Rate This