Gard-e-firaq Ghaza Kash-e-aina Na Ho

gard-e-firaq ghaza kash-e-aina na ho

chaho jo tum to apne tasarruf mein kya na ho

sajde ke har nishan pe hai KHun sa jama hua

yaro ye us ke ghar ka kahin rasta na ho

zaKHmon ki mishalen liye guzra hai dil se kaun

yaadon ka koi bhaTka hua qafila na ho

kab se khaDa hun ek do-rahe pe but bana

sab kuchh jo dekhta ho magar bolta na ho

chumo lagao aankhon se sar par rakkho use

ye zindagi waraq kisi injil ka na ho

sau bar ek gali mein mujhe le gaya ye wahm

khiDki se koi maslahatan jhankta na ho

sharma gae the donon hi pahli nazar ke baad

shayad tumhein to yaad bhi wo waqia na ho

lao na mere samne aariz ke aaftab

chehre pe koi harf-e-tamanna likha na ho

mazi ke reg-zar pe rakhna sambhal ke panw

bachchon ka is mein koi gharaunda bana na ho

ho kar juda bhi us se 'naimi' main ji to lun

lekin ye Dar hai is se kahin wo KHafa na ho

(1438) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gard-e-firaq Ghaza Kash-e-aina Na Ho In English By Famous Poet Abdul Hafiz Naeemi. Gard-e-firaq Ghaza Kash-e-aina Na Ho is written by Abdul Hafiz Naeemi. Read famous Poem Gard-e-firaq Ghaza Kash-e-aina Na Ho for youth and Student by Abdul Hafiz Naeemi. Free Download Gard-e-firaq Ghaza Kash-e-aina Na Ho in PDF.