Dua Ko Hath Mera Jab Kabhi UTha Hoga

dua ko hath mera jab kabhi uTha hoga

qaza-o-qadr ka chehra utar gaya hoga

jo apne hathon luTe hain bas is pe zinda hain

KHuda kuchh un ke liye bhi to sochta hoga

teri gali mein koi sae raat bhar ab bhi

suragh-e-jannat gum-gashta DhunDta hoga

jo gham ki aanch mein pighla kiya aur aah na ki

wo aadmi to nahin koi dewta hoga

tumhaare sang-e-taghaful ka kyun karen shikwa

is aaine ka muqaddar hi TuTna hoga

hai mere qatl ki shahid wo aastin bhi magar

main kis ka nam lun sau bar sochna hoga

ye meri pyas ke saghar tere labon ki sharab

rawaj-o-rasm-e-mohabbat ka mojaza hoga

phir aarzu ke khanDar rang-o-bu mein Dub chale

fareb-KHurda koi KHwab dekhta hoga

sitare bhi teri yaadon ke bujhte jate hain

gham-e-hayat ka suraj nikal raha hoga

sada kise den 'naimi' kise dikhaen zaKHm

ab itni raat gae kaun jagta hoga

(1386) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dua Ko Hath Mera Jab Kabhi UTha Hoga In English By Famous Poet Abdul Hafiz Naeemi. Dua Ko Hath Mera Jab Kabhi UTha Hoga is written by Abdul Hafiz Naeemi. Read famous Poem Dua Ko Hath Mera Jab Kabhi UTha Hoga for youth and Student by Abdul Hafiz Naeemi. Free Download Dua Ko Hath Mera Jab Kabhi UTha Hoga in PDF.