Piri Mein Shauq Hausla-farsa Nahin Raha
piri mein shauq hausla-farsa nahin raha
wo dil nahin raha wo zamana nahin raha
kya zikr-e-mehr us ki nazar mein hai dil wo KHwar
shayan-e-jaur-o-zulm dil-ara nahin raha
jhagDa miTa diya but-e-kafir ne din ka
ab kuchh KHilaf-e-momin-o-tarsa nahin raha
ushshaq-o-bul-hawas mein nahin karte wo tamiz
wan imtiyaz-e-nek-o-bad asla nahin raha
kyun bahr-e-sair aane lage gul-ruKHan-e-dahr
piri mein dil saza-e-tamasha nahin raha
kah do ki qabr-e-nash bhi ki us ki paemal
nam-o-nishan-e-ashiq-e-ruswa nahin raha
ab tak yahan hai ijz o niyaz o wafa ki dhum
wan lutf o iltifat o madara nahin raha
kashti baghair dasht-nawardi ho kis tarah
ashkon se bahr ho gaya sahra nahin raha
masti mein raat wo na khule mujh se ham-nashin
kuchh e'tibar-e-nashsha-e-sahba nahin raha
kyun jaen phir ke kabe se 'nassaKH' dair ko
wo sar nahin raha wo sauda nahin raha
(1113) Peoples Rate This