Naqsh-e-dil Hai Sitam Judai Ka
naqsh-e-dil hai sitam judai ka
shauq phir kis ko aashnai ka
chakhte hain ab maza judai ka
ye natija hai aashnai ka
un ke dil ki kudurat aur baDhi
zikr kijiye agar safai ka
dekh to sang-e-astan pe tere
hai nishan kis ki jabha-sai ka
tere dar ka gada jo hai ai dost
aish karta hai baadshai ka
duKHtar-e-raz ne kar diya baatil
mujh ko dawa tha parsai ka
karte hain ahl-e-asman charcha
mere nalon ki na-rasai ka
kaT Dalo agar zaban pe mere
harf aaya ho aashnai ka
kar ke sadqe na chhoD den 'nassaKH'
dil ko dhaDka hai kyun rihai ka
(1323) Peoples Rate This