Zamin-nazhad Hain Lekin Zaman Mein Rahte Hain
zamin-nazhad hain lekin zaman mein rahte hain
makan nasib nahin la-makan mein rahte hain
wo Dol Dalen kisi kar-e-paedar ka kya
jo be-sabaati-e-umr-e-rawan mein rahte hain
hum aise ahl-e-chaman gosha-e-qafas mein bhi
hisab-e-KHar-o-KHas-e-ashiyan mein rahte hain
na bud-o-bash ko puchho ki hum faqir-manash
suKHan ke mabad-e-be-saeban mein rahte hain
kahan talash karoge hamein ki hum to mudam
huzuri-e-dil-e-be-KHanuman mein rahte hain
nashe ki lahr mein KHum KHum lunDha ke aab-e-hayat
sarab-e-zindagi-e-jawedan mein rahte hain
nai mohabbaten 'KHalid' purani dostiyan
azab-e-kashmakash-e-be-aman mein rahte hain
(1310) Peoples Rate This