Phuli Hai Shafaq Go Ki Abhi Sham Nahin Hai
phuli hai shafaq go ki abhi sham nahin hai
hai dil mein wo gham jis ka koi nam nahin hai
kis ko nahin kotahi-e-qismat ki shikayat
kis ko gila-e-gardish-e-ayyam nahin hai
aflak ke sae tale aisa bhi hai koi
jo said-e-zabun maya-e-alam nahin hai
chhilkon ke hain ambar magar maghz nadarat
duniya mein musalman to hain islam nahin hai
iman nahin momin ka mukafat-e-amal par
ummid-e-karam kya tama-e-KHam nahin hai
masjid ho KHarabaat ho ya ku-e-butan ho
is qalb-e-tapan ko kahin aaram nahin hai
ai mah-wisho lala-ruKHo wasl ki hum ko
KHwahish to hai be-shak magar ibram nahin hai
kaifi hain mai-e-nab-e-KHum-e-mehr-shuda ke
hum ko talab-e-durd-e-tah-e-jam nahin hai
lafzon ke dar-o-bast pe har-chand ho qadir
shaer nahin jo sahab-e-ilham nahin hai
har baat hai 'KHalid' mein pasandida o matbu
ek pairwi-e-rasm-o-rah-e-am nahin hai
(1834) Peoples Rate This