NaKHchir Hun Main Kashmakash-e-fikr-o-nazar Ka
naKHchir hun main kashmakash-e-fikr-o-nazar ka
haq mujh se ada ho na dar-o-bast-e-hunar ka
maghrib mujhe khinche hai to roke mujhe mashriq
dhobi ka wo kutta hun ki jo ghaT na ghar ka
dabta hun kisi se na dabaata hun kisi ko
qael hun musawat-e-bani-nau-e-bashar ka
har chiz ki hoti hai koi aaKHiri had bhi
kya koi bigaDega kisi KHak-basar ka
dil-gir to be-shak hun pe naumid nahin hun
raushan hai dil-e-shab mein diya nur-e-sahar ka
poshida nahin mujh se koi jazr-o-mad-e-shauq
mahram hun sada dilbar-e-angeKHta-bar ka
zindan o salasil se sadaqat nahin dabti
hai shan-e-kai silsila bas raqs-e-sharar ka
taswir koi banti dikhai nahin deti
kiya sarfa abas hum ne kiya KHun-e-jigar ka
kya shughl-e-shajar kar hai afkar se behtar
sauda sar-e-shorida mein gar ho na samar ka
kyun sar-KHush-e-raftar na ho ho qafila-e-mauj
rahzan ka hai andesha na gham zad-e-safar ka
Dali hai sitaron pe kamand ahl-e-zamin ne
zohra ka wo afsun na fasana wo qamar ka
har baat hai 'KHalid' ki zamane se nirali
bashinda hai shayad kisi duniya-e-digar ka
(1635) Peoples Rate This