Apni Nakaam Tamannaon Ka Matam Na Karo
apni nakaam tamannaon ka matam na karo
tham gaya daur-e-mai-e-nab to kuchh gham na karo
aur bhi kitne tariqe hain bayan-e-gham ke
muskuraati hui aankhon ko to pur-nam na karo
han ye shamshir-e-hawadis ho to kuchh baat bhi hai
gardanen tauq-e-ghulami ke liye KHam na karo
tum to ho rind tumhein mahfil-e-jam se kya kaam
bazm-e-jam ho gai barham to koi gham na karo
baada-e-kohna Dhale saghar-e-nau mein 'fitrat'
zauq-e-fariyaad ko aazurda-e-matam na karo
(1177) Peoples Rate This