Jabin-e-shauq Ko Kuchh Aur Bhi Izn-e-saadat De
jabin-e-shauq ko kuchh aur bhi izn-e-saadat de
ki zauq-e-zindagi mahdud sang-e-astan tak hai
nawed-e-rustagari par abas dil-shad hota hai
abhi sad dam ai bulbul-e-qafas se aashiyan tak hai
ye ehsas-e-talluq mujh ko miTne bhi nahin deta
ki teri dastan ka rabt meri dastan tak hai
tarana chheD wo mutrib ki ruh-e-ishq chaunk uTThe
KHarosh-e-nala-e-gham kya jo soz-e-jism-o-jaan tak hai
sarapa aarzu ban kar kamal-e-muddaa ho ja
wo nang-e-ishq hai jo aarzu aah-o-fughan tak hai
zamana chahiye takmil-e-zauq-e-lazzat-e-gham ko
abhi duniya-e-dil mahdud zikr-e-in-o-an tak hai
bayaban-e-mohabbat ki nawazish puchhna kya hai
ummid-o-bim ki haalat faqat sud-o-ziyan tak hai
kahan se laegi duniya hamari himmaten 'asi'
mohabbat mein qadam apna faqat kaun-o-makan tak hai
(1266) Peoples Rate This