Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_538a158e02b28cbde626c3c5c45b4223, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Apni Hasti Se Tha KHud Main Bad-guman Kal Raat Ko - Abdul Aleem Aasi Poetry In English - Darsaal

Apni Hasti Se Tha KHud Main Bad-guman Kal Raat Ko

apni hasti se tha KHud main bad-guman kal raat ko

kuchh na tha andesha-e-sud-o-ziyan kal raat ko

chandni barsat sehn-e-gulistan dilkash hawa

thin hujum-e-gham mein ye ranginiyan kal raat ko

wusat-e-taKHil ke halqe mein tha arsh-e-barin

dekhti thin chashm-e-dil kaun-o-makan kal raat ko

mil rahe the dast-e-ulfat se mujhe jam-e-sharab

mehrban tha wo but-e-na-mehraban kal raat ko

wo mohabbat ki nigahen wo mohabbat ke kalam

han do-baala thi ada-e-dil-satan kal raat ko

har nazar paigham har andaz mein raqsan ummid

aur hi tha us ka tarz-e-imtihan kal raat ko

iffat-e-ulfat se thi aaina-e-dil ki jila

warna tha jazbaat ka dariya rawan kal raat ko

zauq se wo sun rahe the dastan-e-gham meri

ho raha tha inqilab-e-asman kal raat ko

dil ki ek aawaz thi is bazm mein tafsir-e-gham

ho chuke the wo bhi majbur-e-fughan kal raat ko

tafarqe be-aitmadi dushmani makr-o-fareb

thi teri tabir ai hindostan kal raat ko

so chuke the chand hi ghanTon mein arbab-e-nashat

subh tak tha sath wo aaram-e-jaan kal raat ko

rang-e-sahba chashm-e-nargis mein tha 'asi' waqt-e-subh

jagne se ho rahi thin KHun-fishan kal raat ko

(1801) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apni Hasti Se Tha KHud Main Bad-guman Kal Raat Ko In English By Famous Poet Abdul Aleem Aasi. Apni Hasti Se Tha KHud Main Bad-guman Kal Raat Ko is written by Abdul Aleem Aasi. Read famous Poem Apni Hasti Se Tha KHud Main Bad-guman Kal Raat Ko for youth and Student by Abdul Aleem Aasi. Free Download Apni Hasti Se Tha KHud Main Bad-guman Kal Raat Ko in PDF.