Ziyarat
bahut se log mujh mein mar chuke hain
kisi ki maut ko waqe hue bara baras bite
kuchh aaise hain ki tis ek sal hone aae hain ab jin ki rahlat ko
idhar kuchh sanehe taza bhi hain hafton mahinon ke
kisi ki hadsati maut achanak be-zamiri ka natija thi
bahut se dab gae malbe mein diwar-e-ana ke aap hi apni
mare kuchh rabton ki KHushk-sali mein
kuchh aaise bhi ki jin ko zinda rakhna chaha main ne apni palkon par
magar KHud ko jinhon ne meri nazron se gira kar KHud-kushi kar li
bacha paya na main kitnon ko sari koshishon par bhi
rahe bimar muddat tak mere baatin ke bistar par
bil-aKHir faut ho baiThe
gharon mein daftaron mein mahfilon mein raston par
kitne qabristan qaem hain
main jin se roz hi ho kar guzarta hun
ziyarat chalte-phirte maqbaron ki roz karta hun
(1341) Peoples Rate This