ShaKHsiyyat Ki Mausiqi
wo qubul-surat si
sanwli bhali aurat
thoDa ruk ke dekhen to
kitni KHubsurat hai
us ke narm lahje mein
us ki soch ki KHushbu
us ke zauq-e-poshish mein
halke halke rangon ke
intiKHab ka jadu
fikr ki jawan kirnen
us ki rup-rekhaen
ankhDiyon mein kuchh KHake
muztarib KHayalon ke
ungliyon mein rachnaen
naghma-e-takallum mein
zer-o-bam kai ghaltan
zarf aur zarafat ke
zer-e-lab tabassum se
khul ke muskurane tak
pech-o-KHam kai larzan
iKHtiyar-o-adat ke
sadgi mein chehre ki
shama ek farozan si
aanch dard-mandi ki
lau kisi bulandi ki
junbish-e-rawish us ki
narm-gam o aahista
ek jahan-e-ranai
har nigah-e-shaista
kaif mein latafat ke
tez hissiyat shamil
tegh se zehanat ki
us ki har ada qatil
wo qubul-surat si
sanwli bhali aurat
thoDa ruk ke dekhen to
kitni KHubsurat hai!
(1308) Peoples Rate This