Intizar Baqi Hai
kanpti hain honTon par
kitni an-kahi baaten
gunjte hain kanon mein
kitne an-sune naghme
jhankte hain palkon se
ungliyon ke poron tak
KHwab kitne an-dekhe
lams an-chhue kitne
nam hai talab jis ka
mustaqil hararat hai
hasrat-o-tamanna ke
aansuon se nam lekin
an-bujhe shararon ki
daimi masafat hai
be-bas aarzuon se
dard ki rasai tak
qaid se rihai tak
dhaDkanon ki sarhad ke
us taraf bhi imkan hai
jaan-o-tan se bahar bhi
zindagi farozan hai
aankh jam bhi jae to
sans tham bhi jae to
dil ke tah-nashin jazbe
ruh mein panapte hain
umr sirf mohlat hai
ishq lamha-e-daem
e'tibar baqi hai
mera gham salamat hai
tera husn hai qaem
intizar baqi hai
(1513) Peoples Rate This