Fasad Ke Baad
fasad-e-shahr tham gaya
faza mein bas gai hai ek zahr-nak KHamushi
hiras KHauf bebasi
main kha raha hun pi raha hun ji raha hun kis tarah
ye narm luqma-e-ghiza
garm ghunT chae ka
kisi KHayal ke tale
jale hue lahu ke zaiqe sa munh mein jam gaya
fishaar-e-kisht-o-KHun ke baad
muztarib sukut
jaise dhaDkanon ke raste mein tham gaya
shuur-e-umr-o-zindagi simaT gaya hai karb ke jumud mein
shigaf paD gaya hai jaise dur tak wajud mein
wo kaifiyat hai
jaise ghar mein koi mar gaya ho aur
us ki lash der tak zamin par dhari rahe
koi jagah se hil ke
us ko dafn tak na kar sake
(1601) Peoples Rate This