Be-nishan Hone Se Pahle
zindagi ek dur tak sangit thi ab shor hai
han magar is shor ke bikhraw mein
be-mahaba saut ke Takraw mein
shayad abhi andoKHta kuchh zer-o-bam hon
aao hum tum
koi zer-o-bam talashen
koi pech-o-KHam tarashen
aur is tartib-kari ki shuuri koshishon ko
la-shuuri naghmagi ki aaKHiri miTti hui si gunj se angez kar ke
ek shab
koi ek aahang de den
is se pahle ki ye shor-e-na-tamam
sur-e-israfil ke itmam mein kho jae
hashr uTThe aur qayamat aae
aur hum ko jhonk de aawaz ke ek munqat'a rishte ke dozaKH mein
faisla kar de hamare darmiyan
ek daimi KHud-na-shanasi ke jahannam ka
is se pahle
aao hum tum
is KHalij-e-na-rasai par
sada ke pul bana den
be-nishan hone se pahle
is zamin par aaKHiri pahchan ki duniya basa len
(1289) Peoples Rate This