Yun To Sau Tarah Ki Mushkil SuKHani Aae Hamein
yun to sau tarah ki mushkil suKHani aae hamein
par wo ek baat jo kuhni na abhi aae hamein
kaise toDen use jo TuT ke milti ho gale
lakh chaha ki riwayat-shikani aae hamein
har qadam is mutabaadil se bhari duniya mein
ras aae to bas ek teri kami aae hamein
pyas bujh jae zamin sabz ho manzar dhul jae
kaam kya kya na in aankhon ki teri aae hamein
dew-e-alfaz ke changul se chhuDane ke liye
aaKHir-e-shab koi mana ki pari aae hamein
phir hamein qatl kare shauq se ban pae agar
ek ghazal bhar to kisi shab koi ji aae hamein
'saz' ye shahr-nawardi mein bikharta hua din
simTe ek moD to yaad us ki gali aae hamein
(1384) Peoples Rate This