Tab-e-hassas Meri Khaar Hui Jati Hai
tab-e-hassas meri KHar hui jati hai
be-hisi ishrat-e-kirdar hui jati hai
ye KHamoshi ye ghulawaT ye bichhaDte hue rang
sham ek dard bhara pyar hui jati hai
aur barik kiye jata hun main mu-e-qalam
tez-tar sozan-e-izhaar hui jati hai
kuchh to sach bol ki dil se ye giran bojh haTe
zindagi jhuT ka tumar hui jati hai
jada-e-fan se guzarna bhi kashakash hai tamam
rah KHud rah ki diwar hui jati hai
soch ki dhup mein jal uThne ko ji chahta hai
apne lafzon se bhi ab aar hui jati hai
zist yun sham ke lamhon se guzarti hai kabhi
KHud-ba-KHud sharh-e-gham-e-yar hui jati hai
kam se kam phunk hi de bujhti hui rakh mein 'saz'
aaKHiri sans bhi be-kar hui jati hai
(1263) Peoples Rate This