Na Maqamat Na Tartib-e-zamani Apni
na maqamat na tartib-e-zamani apni
ittifaqat pe mabni hai kahani apni
jism si jati hai tah-e-harf kisi karb ki mauj
tham ke rah jati hai lafzon ki rawani apni
phail jati thi samaat ki zaminon mein nami
thi kabhi tar-suKHani aab-rasani apni
lakh tum mujh ko dabao main ubhar aaunga
sath hamwar kiye rahta hai pani apni
majra ruh ki wahshat ka niji hai ai 'saz'
aage rudad nahin hum ko sunani apni
(1155) Peoples Rate This