Mizaj-e-sahal-talab Apna RuKHsaten Mange
mizaj-e-sahal-talab apna ruKHsaten mange
sabaat-e-fan magar ai dil azimaten mange
ufuq pe husn-e-ada ke tulu-e-mehr-e-KHayal
faza-e-sher sahar ki latafaten mange
musir hai aql ki mantiq mein aae uqda-e-jaan
qadam qadam pe magar dil bashaaraten mange
nai uDan ko kam hain ye zauq ke shahpar
nai hawaon ka har KHam zihanaten mange
shuur ke qad-o-qamat pe hai nazar kis ki
ye farba-chashm zamana jasamaten mange
nafis o sahl nahin waz-e-sher ki tadrij
har ek soch digar-gun si haalaten mange
sukun-e-tul-e-wafa hai talab ki kotahi
ki lams-e-yaad dhaDakti jasaraten mange
shua-e-mehr se dhul jaen jaise mah o najm
tera KHayal anokhi tahaaraten mange
na puchh 'saz' ko wo to sarab walon se
phire hai kasa-e-dil mein haqiqaten mange
(1388) Peoples Rate This